Yaad aate hain woh school ke din,
Na jaate the school doston ke bin,
Kaisi woh dosti thi, kaisa tha woh pyar,
Ek din ki judai se darte the jab aata tha shaniwar,
Chalte chalte patthron mein marte the thokar,
Kabhi hanste gaate to kabhi chalte the ro kar,
Kandhon mein kitab liye haath main botal pani,
Kise pata tha bachpan ki dosti bhi chhura degi jawaani,
Yaad aate hain woh syaahi se range haath,
Kya din the woh jab karte the lunch saath,
Chhutti ki ghanti sunte hi wo bhag ke kamre se bahar aana,
Fir hanste hanste doston se mil jaana,
Kaash woh dost aaj bhi mil jaate,
Dil mein fir se bachpan ke phool khil jaate.